Tuesday 16 July 2013

∗ Hiqayat-(Part 15.5) : Nabi Musa (Alaihay Salam)

!!! Allah Ta’ala Ka Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Pehla Kalam. !!!

» Bismillah Hir Rahemanir Rahim «
Aziz Dosto ,… Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ki Khidamat Me Rahekar Un Se Ilm Aur Hiqmat Ki Baate Bhi Sikhi, Aur Das Saal (10 Years) Bhi Pure Kiye. Aur Is Tarha Unhone Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ki Us Baat Ka Bhi Ahetaraam Kiya, Jis Me Hazrat Shoeb (Alaihay Salam) Ne Un Se Majeed Do Saal (2 Years) Khidmat Karne Par Unka Ahesaan Kahaa Tha. Jab Das Saal (Ten Years) Pure Ho Gaye To Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Unse Apne Waldain (Khaandaan) Ke Paas Waapas Mishr (Egypt) Jaane Ki Izazat Li Aur Apne Biwi Bachche Aur Gulaam Ko Saath Lekar Mishr Ki Taraf Rawaana Huve. Riwaayato Me Hai Ki Shaayad Woh Sardi (Thand) Ki Raat Thi Ya Unki Biwi Ki Jachki (Delivery) Ka Waqt Tha. Khair Jab Woh Log Apne Safar Par Chale To Toor Ki Pahaadi Ya Tuwa Ki Waadi Me Pahoonche. Jab Raat Ho Gayee To Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Dekha Ki Door Pahaad Se Ek Roushni (Light) Nazar Aa Rahi Hai, Unhone Apne Ghar Walo Se Kahaa, “Tum Log Yahaa Par Ruko Mai Uss Pahaadi Par Ja Rhaa Hoon Waha Se Shaayd Kuch Aag (Fire) Mil Jaaye Taki Tum Log Taap Sako Aur Aage Raaste Ki Kuch Khabar Bhi Mil Jaaye”.

Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Us Pahaadi Par Pahooche To Unhone Deka Ki Us Pahaadi Ke Daahine (Right Side) Se Ek Darakht (Tree) Se Roushni (Light) Aa Rahi Hai. Fir Unhe Gaib Se Ek Aawaaz Sunaayee Di. Jo Gaalban Usi Muqaddas Darakht (Tree) Se Aa Rahi Thi. Ye Aawaaz Hamaare Rab Ki Thi Jo Saare Aalam Ka Malik Aur Khaliq Hai.
Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Aye Musa Main Tumhaara Rab Aur Sare Jahaan Ka Paalne Wala Hoon. Meri Baat Gour Se Sun Aur Apni Jutiya (Shoes) Utaar De Tu Muqaddas (Paak) Waadi Tuwa Me Hai. Maine Tujhe Naboowat Aur Risaalat Ke Liye Chun Liya Hai. Meri Khoob Hamd-O-Sanaa Kar Aur Namaaze Qaayem Kar. Jo Teri Taraf Wahee (Baate Ya Kalaam) Ki Jaati Hai Use Gour Se Sun. Beshaq Main Hi Allah Ta’ala Hoon, Mere Siwaa Koi Bhi Ibaadat Ke Laayeq Nahi, Isiliye Tu Sirf Meri Hi Ibaadat Kar. Yaqinan Qayaamat Aane Wali Hai, Jise Maine Posheeda (Chupaa Kar Rakhna) Rakha Huwa Hai, Taa Ki Har Shakhsh (Aadmi) Ko Wo Badlaa Diya Jaaye Jis Ki Usne Koshish Ki Ho. Isiliye Is Yaqeen Se Tujhe Koi Aisa Shakhsh (Aadmi) Na Rok De Jo Is Par Imaan Na Rakhta Ho Aur Apne Nafs (Khawaahisho) Ke Piche Laga Huwaa Ho, Warnaa Tu Raah Se Bhatak Jaayega Aur Halaaq Ho Jaayega”.

Dosto Wo Tuwa Ki Wadi Muqaddas Thi Kyonki Wahaa Hamare Rab Ki Tajjully Ka Jalwaa Runumaa Tha, Isiliye Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Jutiya Utaarne Ka Huqm Diya.
Kyonki Hazrat Musa (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Se Hamkalaam Huve Isiliye Unhe Kaleemullah Kahaa Gaya. Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa Ye Tere Haath Me Kya Hai ?”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aye Mere Rab Ye Aasaa (Lakdi Ya Chadee) Hai Jis Se Mai Apni Bakriyo Ko Haanktaa Hoon Aur Unke Liye Jhaad (Tree, Darakht) Se Patte (Leaves) Todta Hoon, Aur Is Se Tek (Sahaara) Bhi Leta Hoon Aur Bhi Ye Mere Bahut Se Kaam Me Aati Hai”.

Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa Ise Zameen Par Daal De”. Aur Jaise Hi Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Us Aasaa (Chadee) Ko Zameen Par Daala Wo Ek Kaala Naag (Saanp) (Snake) Ban Kar Fufkaarne Lagi Aur Karwate Lene Lagi. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Us Saanp (Snake) Ko Dekha To Khouf Ke Maare Piche Palat Kar Bhagne Lage. Allah Ta’ala Ne Pukaara, “Aye Musa Khouf Na Khaavo (Daro Nahi) Tum Apne Rab Ki Amaan (Hafaazat) Me Ho”.
Hazrat Musa (Alaihay Salam) Waapas Palat Aaye, Lekin Abhi Bhi Darr Se Kaanp Rahe The.
Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Bekhouf Ho Kar Ise Pakad Lo, Ham Ise Pahele Ki Surat (Chadee) Me Dubaara La Denge. Aur Apna Haath Apni Bagal Me Daal Le Is Se Tera Khouf Bhi Jaata Rahega”,
Aur Farmaaya, “Ab Apna Haath Baahar Nikaal.” To Wo Haath (Hand) Bina Kisi Takleef Aur Dard Ya Kharaabi Ke Ekdam Safed (White) Aur Chamkta Huwa Niklaa.

Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Ye Do Moajjaze Hai, Ye Isiliye Hai Ki Ham Tujhe Apni Badi-Badi Nishaniya Dikhana Chahte Hai”
Aziz Dosto ,……. Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Do (2) Mouajjaze Ata Kiye Aur Farmaaya, “Aye Musa Firoun Ki Taraf Jaavo, Kyonki Woh Bada Zaalim Aur Sirkas Aur Hadd Se Aage Badh Gaya Hai, Aur Usne Bani Israayeel Par Zulm-O-Sitam Ka Baazaar Garam Kar Rakha Hai, Use Haq Ki Daawat Do Aur Kaho Ki Main Allah Ta’ala Ki Taraf Se Rasool Bana Kar Bheja Gaya Hoon, Isiliye Meri Ita’at Karo Aur Allah Ta’ala Ki Ibaadat Karo, Uske Siwaa Koi Bhi Ma’abood Ibaadat Ke Laayeq Nahi”.

Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa ”Aye Mere Rab Woh To Bahut Taqatwar Aur Zalim Hai, Aur Mere Haatho Uski Qoum Ka Ek Shakhsh (Aadmi) Qatal Huwa Hai, Aur Woh To Mere Qatal Par Bhi Amaada Hai, Isiliye Aye Mere Rab Tu Mera Seena Khol De (Dil Mazboot Kar De) Aur Mere Kaam Ko Mujh Par Aasaan Kar De, Aur Mere Zubaan (Toung) Ki Girah (Gaath) Khol De. Ta Ki Log Meri Baat Samajh Sake”.
Dosto, Yahoodiyo Ki Riwaayato Me Hai Ki Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Chote Bachche The Aur Firoun Ke Mahal Me Parwarish Paa Rahe The To Unhone Khajoor Ya Koi Mithaayeee Samajh Kar Ek Jalta Huwa Koyle Ka Tukda Apne Muhh Me Daal Liya Tha Isi Wazah Se Unki Zubaan Jal Gayee Thi Aur Woh Saaf-Saaf Nahi Bol Paate The Ya Rawangi Se Baate Nahi Kah Paate The . (Wallah-O-Alam). Isi Liye Unhone Allah Ta’ala Se Ye Duwaa Ki Ke Mere Zubaan Ki Girah (Gaath) Khol De, Aur Mere Hi Khaandaan (Kunbe) Se Mere Bhai Hazrat Haroon (Alaihay Salam) Ko Mera Wazeer (Madadgaar) Bana, Taa Ki Us Ke Saath Hone Se Mera Housla Badhe, Aur Woh Mere Har Kaam Me Sharik (Saath) Rahe, Taa Ki Ham Dono Kasrat Se Teri Paaki Aur Hamd-O-Sanaa Bayaan Kare. Aur Bahut Jiyaada Tujhe Yaad Kare. Beshaq Tu Hame Bahut Dekhne Wala Aur Jan’ne Wala Hai”.

Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa Tere Tamaam Sawaalat Pure Kar Diye Gaye Hai. Is Ke Pahele Bhi Ham Tujh Par Kayee Bade Ahesaan Kar Chuke Hai, Jab Teri Waalda Ne Firoun Ke Khouf Se Tujhe Ek Sandook (Taaboot) Me Band Kar Ke Dariya (River) Me Bahaa Diya Tha, Aur Ham Ne Uske Dil Me Ye Baat Daal Di Thi Ke, Ham Ise Kinaare Par Laa Dege, Aur Mera Aur Khud Iska Dushman Firoun Ise Apna Lega, Aur Tera Bachcha Sahi Salaamat Tere Paas Pahooncha Diya Jayega, Aur Aye Musa Jab Tune Firoun Ki Dadhi (Beared) Noch Li To Usne Tere Qatal Ka Iraada Kiya, Lekin Ham Ne Us Ke Aur Uski Biwi Ke Dil Me Tere Liye Mohabbat Daal Di. Wo Is Liye Ki Teri Hamaari Aankho Ke Saamne Parwarish Ki Jaaye. Aur Teri Bahen Bhi Tere Piche-Piche Firoun Ke Mahal Tak Pahoonch Gayee. Jab Ki Tune Hamaare Huqum Se Kisi Aaya (Doodh Pilaane Wali) Ka Doodh Na Piya, Aur Teri Bahen Ne Unhe Mashwara Diya Ki Main Ek Aisi Aurat Ko Jaanti Hoon Jo Is Bachche Ko Doodh Pialaaye Aur Is Ki Nigehbaani (Dekh Bhal) Bhi Kare. Is Tadbeer Se Hamne Tujhe Teri Waalda Ke Paas Pahoonch Diya, Taaki Uski Aankhe Thandi Rahe Aur Woh Gamgeen (Udaas) Na Rahe. Aur Aye Musa Jab Tu Apni Jawaani Ko Pahoocha To Tune Ek Shakhs (Aadmi) Ko Gair Iraadatan Qatl Kar Daala. Is Par Bhi Ham Ne Tujhe Gam Se Bacha Liya Aur Tujhe Muaf Kiya. Aur Ham Ne Tujhe Aazmaa (Parakh) Liya, Aur Tu Madyan Pahoncha Aur Un Logo Ke Saath Kayee Saal Tak Thahera Raha. Aur Tu Aaj Hamaari Hi Qudrat (Mashlehat) Ke Mutaabiq Yahaa Is Muqaddas Wadi Tuwa Me Aaya Hai. Aur Aye Musa Maine Tujhe Khaas Apni Jaat Ke Liye Pasand Farma Liya Hai. Ab Tu Apne Bhai Ke Hamraah (Saath) Meri Nishaaniya (Moujjaze) Le Kar Firoun Ke Paas Ja Aur Khabardaar Mere Ziqr Aur Ahmd-O-Sanaa Me Me Koi Kotaahi Ya Susti Mat Karna. Aur Firoun Ke Paas Ja Kar Use Narmi Se Samjhavo, Shaayad Woh Samajh Le Ya Darr Jaaye”.

Dosto Yahaa Par Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Firoun Ko Narmi Ke Saath Haq Ki Daawat Dene Ka Huqm Diya.
Lekin Aaj Internet Par Aur Dusri Jagaah Bhi (Facebook) Kuch Na Samajh Apne Aap Ko Musalmaan Hone Ka Dawaa Karne Wale Ek Dusre Ko Itni Gandi Gandi Gaaliya Dete Hai Aur Samajhte Hai Ki Ham Log Nek Kaam Kar Rahe Hai Aur Logo Me Islaam Failaa Rahe Hai. Aur Har Koi Apne Haq Par Hone Ki Dalile De Rahaa Hai. Dosto Yaad Rakho Jise Allah Ta’ala Hidaayat Na De Use Tum Log Hidaayat Nahi De Sakte. Agar Apni Baat Kisi Ke Aage Rakhni Hai To Narmi Ke Saath Rakho Ya Samjhaavo Woh Samajhta Hai To Theek Nahi To Use Chorr Do, Fizool Ki Bahesbaazi Kar Ke Apna Imaan Mat Barbaad Karo, Jo Log Fizul Ki Bahesbaazi Kare Unse Badi Narmi Ke Saath Ye Kaho, “Laqum Di Naqum Wala Ye Deen”.
Yaane Ki Tumhaara Deen Tumko Mubaarak Ho Aur Hamaara Deen Hamko Ya Tumhaara Aqida Tumko Mubaarak Ho Aur Hamaara Aqida Hamko. Aur Koun Haq Par Hai Aur Koun Naahaq Hai Is Ka Faislaa Allah Ta’ala Ki Zaat Par Chhod Do ………..
Khana-E-Kaba Me Aftari K Lie
Bichhae Jane Wale Dastrkhuan Ki
Lenght 12km Hoti Hai,
Ye Tawaf Ki Jaga Bichha ya Jata Hai,
Is Par 12 Lakh Rozydar
Daily Aftari Krte Hai.
Is Aftari Pr Daily
10 Lakh Saudi "Riyal" Kharch Hota Hai,
Or Dun ya Ki Ye SabSe Bari Aftari
Sirf 10 Min Me Samait Li Jati Hai,
Or Farsh Dho Dia Jata Hai
Rozana 50 Lakh Dates Or 20 Lakh
"Aab-E-Zam Zam" Ki Bottles
Aftari Me Istmal Hoti Hai


(SUBHAN ALLAH)